Namskar Dosto, aaj article me aapko yah jaan ne ko milega ki aap kis taras se famous book Rich Dad Poor Dad in Hindi Free PDF download kar sakte ho aur me aapko iss book ke bare thodi summary bhi dunga.
Rich Dad Poor Dad book ko do author ke dwara lika gaya tha jiske name hai Robert Kiyosaki aur Sharon Lechter. Yah book Robert Kiyosaki ke naam se mashoor hui thi kyoki iss book me use money making theory di thi.
Rich Dad Poor Dad in Hindi Free PDF Download:
Iss book ka title dekhte hi aapko aek question hoga ki ye book ka name Rich Dad Poor Dad kaise rakha gaya? To me aapko bata du ki is book ke Author (Robert) ke do father the aek unke real father jo poor yaani garib the aur aek author k friend ke father jo Rich yaani aamir the aur author ne apne dono father se kaafi kuch sikha that aur uske experience ko iss book me likha gaya hai iss liye yah book ka name Rich Dad Poor Dad rakha gaya.
Author hame sikhate hai ki hame aapne apni assets badhani chahiye kyuki assets aage jake aapka aek passive income ka source ban sakta hai. Par jyadatar log assets ki jagah apni liabilities badhate hai.
Hame aapni liabilities kabhi badhani nahi chahiye kyu ki usme har month aapko apne paise kharch karne padenge jaise ki agar aapne bike liya hai to bike aek liability hai usme aapko petrol daalna padega aur bhi kaafi sare kharche aate rahte hai.
Kiyosaki ke anusaar hame jyada Real estate me bhi aapne paise invest nahi karne chahiye kyo ki Real estate (Home, Land, etc) bhi hamari liability hai. Appko aapne paise Fixed Diposits, Mutual Funds aur aesi dusri jagah jisme aage jaake aapko kuch return mile usme invest karna chahiye.
Rich Dad Poor Dad Hindi Free PDF Download kaise kare?
Agar app yah book ko padh ke kuch sikhna chahte hai to aapko thoda paisa iss book ko purchase kar ne me invest karna padega kyoki yah book legally free available nahi hai. Aap yah book Amazon ya Flipkart se purchase kar sakte hai.
Agar aap iss book ki free summary sun na chahte hai to me yaha aek video link kar raha hu jisko sun k bhi aap kaafi kuch sikh sakte ho.
Iss book ko padhne ke baad aap ne kya sikha wo aap hame niche comment me jaroor share kare.
Dhanyavaad.